Biography Wiki

संदीप महेश्वरी का हिंदी परिचय Sandeep Maheshwari Wiki in Hindi

Written by WikiHi

Sandeep Maheshwari Wiki in Hindi, संदीप महेश्वरी का हिंदी परिचय,  sandeep maheshwari jeevni, sandeep maheshwari ki shiksha career, sandeep maheshwari seminars, Sandeep Maheshwari Wiki Biography in Hindi, 

Sandeep Maheshwari Wiki in Hindi

Sandeep Maheshwari, Imagesbazaar Ke Founder Aur Ek Motivational Speaker, Ek Naam Jo Aapki Jindagi Badal Sakta Hai 🙂

Main Garv Se Kahna Chahunga Ki Is Insaan Ne Meri Aur Mere Jaise Karodon Logon Ki Jindagi Badli Hai Aur Aapki Bhi Jindagi Badal Sakte Hain.

Mujhe Aaj Sandeep Maheshwari Ke Bare Me Apna First Post Likhte Hue Kafi Prasannta Ho Rahi Hai Aur Aisa Lag Raha Hai Jaise Sab Kuchh – Aasaan Hai 🙂

Aaj Main Sandeep Maheshwari Ke Biography Ko Kafi Vistaar Se Aap Sabhi Ke Liye Likh Raha Hun. Mujhe Purn Aasha Hai Ki Is Post Ke Ant Tak Aap Is Aadmi Ke Puri Tarah Fan Ho Jayenge.

संदीप माहेश्वरी उन लाखों में एक नाम है जिन्होंने सफलता, खुशी और संतोष की तलाश में संघर्ष किया, असफल रहे और आगे बढ़े। किसी भी अन्य मध्यम वर्ग के आदमी की तरह, वह भी अस्पष्ट सपनों का एक समूह था और जीवन में अपने लक्ष्यों की एक धुंधली दृष्टि थी।  उतार-चढ़ाव से गुजरते हुए, यह वह समय था जिसने उन्हें अपने जीवन का सही अर्थ सिखाया।

To Aayiye Jaante Hain >>

Sandeep Maheshwari Wiki Hindi Me 🙂

Sandeep Maheshwari Ka Janm 28 September 1980 Ko Ek Middle Class Family Me Hua. Unke Pitaji Alluminuam Ka Vayapaar Karte The Tatha Mataji Ek Housewife Thi. Ve 12th Karne Ke Baad Jab College Me The To Unhone Apni Padhaai Bich Me Hi Chhod Kar Apne Manpasand Kaam Karne Ka Faisla Liya.

Kuchh Samay Pahle Hi Unke Pita Ka Vayapar Khatm Ho Chuka Tha Aur Ab Unke Pass Kamai Ka Koi Sadhan Nahi Tha. Sandeep Apne Pita Ka Ekmatra Putra Hote Hue Apne Pita Ki Pareshaani Ko Solve Karne Ki Thaani.

Unke Pariwaar Ne Sabse Pahle Khajur Ka Vyapar Shuru Kia Lekin Kuchh Din Baad Ye Bhi Asafal Raha. Iske Baad Unhone Ghar Me Hi Studio Ki Dukaan Kholi Lekin Yahan Bhi Wo Kuchh Khas Nahi Kar Paaye.

Har Taraf Unhe Nirasha Mil Rahi Thi.

Isi Kram Me Unhone Ek Seminar Attend Kiya Jo Ek Multi National Company Dwara Aayojit Thi, Us Seminaar Me 21 Saal Ka Vayakti Business Se Sambandhit Har Ek Prakar Ki Jaankariyan De Raha Tha. Lekin Sandeep Batate Hain Ki 3 Ghante Ke Seminaar Me Unhe Kuchh Bhi Samajh Me Nahi Aaya.

उनका परिवार एल्युमीनियम के कारोबार में था, जो ढह गया और जरूरत के इस महत्वपूर्ण समय को भरने के लिए उन पर भारी पड़ गया। और जैसा कि किसी भी युवा ने उम्मीद की थी, उसने वह सब कुछ करना शुरू कर दिया जो वह कर सकता था। घरेलू उत्पादों के निर्माण और विपणन के लिए एक बहु-स्तरीय विपणन कंपनी में शामिल होने से। उन्होंने कोई कसर नहीं छोड़ी।

यह इस चरण के दौरान था, उन्होंने किसी भी औपचारिक शिक्षा से परे रुचि और आवश्यकता की खोज की। इसलिए, उन्होंने एक शानदार छात्र होने के बजाय, बी.कॉम के तीसरे वर्ष में दिल्ली के किरोड़ीमल कॉलेज से पढ़ाई छोड़ने का विकल्प चुना। बल्कि, उन्होंने अभी तक एक और दिलचस्प विषय के अध्ययन की यात्रा शुरू की। जीवन नामक विषय।

चकमक मॉडलिंग की दुनिया से आकर्षित होकर, उन्होंने 19 साल की उम्र में एक मॉडल के रूप में अपना करियर शुरू किया। मॉडलों द्वारा अनुभव किए गए उत्पीड़न और शोषण के गवाह, उनमें से कुछ चले गए। और यह वह मोड़ था जब उन्होंने अनगिनत संघर्षरत मॉडलों की मदद करने का फैसला किया। एक मिशन के साथ, उन्होंने छोटी शुरुआत की। फ़ोटोग्राफ़ी में 2 सप्ताह का पाठ्यक्रम और वहाँ, वह एक हाथ में एक कैमरा के साथ एक दर्जन से अधिक फोटोग्राफर था। ज्यादा कुछ नहीं बदला। मॉडलिंग की दुनिया को बदलने की इच्छा के साथ आगे बढ़ते हुए, उन्होंने मैश ऑडियो विजुअल्स प्राइवेट के नाम से अपनी कंपनी स्थापित की। लिमिटेड और पोर्टफोलियो बनाना शुरू किया।

Lekin Ant Me Wo Vayakti Kahta Hai Ki —–>

Meri Umra 21 Saal Hai Aur Main Mahine Ka 2.5 Lakh Rupya Kamaa Raha Hun.

Is Prakar Sandeep Par Iska Gahra Prabhav Padta Hai Aur Wo Sochte Hain Ki Jab Ye Itna Paisa Kamaa Sakta Hai To Main Bhi Kamaa Sakta Hun.

Jab Ye Iske Liye Aasaan Hai To Mere Liye Bhi Aasaan Hoga

Iske Baad Wo Kuchh Logon Ko Us Company Me Le Jaate Hain Aur Batate Hain Ki Wo Us Company Me Itna Paisa Kama Sakta Hai, Par Koi Bhi Aisa Nahi Kar Paata Hai Aur Wo Antatah Phir Se Asafal Ho Jaate Hain.

Iske Baad Sabhi Unko Bolte The Ki “Are Sandeep, Tu To Bilkul Hero Lagta Hai” Aur Iske Kaaran Un Par Hero Banne Ka Bhut Sawar Ho Gaya. Aur Wo Nikal Pade Model Banne Ko. Lekin Wahan Unhone Dekha Ki Unke Jaise Hajaron Model Wahan Par Sanghrsh Kar Rahe Hain Ek Chhoti Se Chhoti Bhi Film Paane Ko. Aur Is Prakar Ve Isme Kshetra Me Bhi Kuchh Khaas Nahi Kar Paaye.

Jab Nirasha Unko Charon Taraf Se Gher Chuki Thi Asafaltaon Ke Dher Se Wo Gujar Rahe The Isi Kram Me Unka Koi Model Dost Ek Photo Khichwakar Laata Hai Aur Sandeep Ko Dikhata Hai.

Jab Is Photo Ko Sandeep Dekhte Hain To Unka Matha Jor Se Thankata Hai Aur Wo Sochte Hain Ki “Wah ! Kya Kamaal Ki Photo Hai“. Aur Pahli Baar Unke Andar Se Aawaj Aati Hai Ki Unhe Bhi Yahin Karna Hai.

Iske Baad Wo Newspaper Me Ek Ad Dekhte Hain Aur Photography Ka Ek Chhota Sa Cource Kar Lete Hain. Aur Iske Baad Model Ka Photo Khincha Shuru Karte Hain.

Lekin Unki Lokpriyata Na Hone Ke Kaaran Jo Bhi Model Unke Pass Se Photo Khinchwata Tha Film Wale Uske Photo Dekhkar Bolte The Ki Kaun Hai Ye Sandeep Maheshwari ?? Jangal Me Rahta Hai Kya ??

Aur Model Ko Isme Asafal Hona Padta Tha.

Isliye Sandeep Ne Socha Ki “Yaha Kaam Nahi, Naam Bikta Hai” Aur Agar Industry Me Apna Paanv Jamana Hai To Apna Naam Karna Hi Hoga.

To Unhone Socha Ki Photography Me Naam Banane Ke Liye Ek World Record Banaya Jaye. Aur Is Prakar Wo Pahuch Gaye Limca Book of World Record Ke Head Office Me.

Unhone Waha Ki Saari Process Samjhi Ki Photography Me World Record Banane Ke Liye Kya Kya Jaruri Hai ? Iske Baad Sandeep Ne Unhe Ek Date De Di Aur Bataya Ki Is Din Ko Aapka World Record Taiyar Hoga.

Us Samay Jab Unke Pass Sadhan Na Ke Samaan Tha Unki Budhhi Kaam Aayi Aur Unhone Apne Bure Experience Se Prerna Lekar Is Event Ko Khud Manage Karne Ka Faisla Liya.

Apni Kathor Parishram Ke Baad Ve Isme Safal Hue Aur Ab Unke Naam Photography Me Ek World Record Tha.

Is Prakar Ve Kafi Had Tak Lokpriya Ho Gaye.

Lekin Iske Baad Ek Aur Samasya Jo Unko Kafi Pareshaan Karta Tha Wo Ye Ki Wo Apne Taraf Se Photo To Kafi Achha Kinchte The Lekin Models Ko Kaam Nahi Milta Tha.

Aur Wo Chahte The Ki Sabhi Models Ko Kaam Mile. Isi Kram Me Unke Pass Ek Advertiser Aaya Aur Bola Ki Uske Pass Samay Nahi Hai Aur Wo Khinche Hue Photo Ko Scan Karega Aur Phir Chhap Dega.

Unhone Model Se Raay Li, Jiska Jawab Haa Me Mila.

Is Prakar Unke Mind Me Images Bazaar* Ko Start Karne Ka Vichaar Aaya Aur Unhone Is Website Ko Jald Hi Astitv Me Laa Diya.

*Images Bazaar Sandeep Maheshwari Ki Ek Website Hai Jispar Karodon Photos Uplabdh Hain Aur Advertiser Is Photo Ko Kharidkar Vigyapan Banate Hain Aur Iske Badle Me Unhe Paise Paid Karte Hain Aur Phir Sandeep Apne Model Ko Paid Karte Hain. Aaj Yah Website Kafi Lokpriya Ho Chuki Hai Aur Apne Safalta Ke Charam Par Hai.

Aaj Jab Sandeep Maheshwari Ek Safal Udyogpati Ke Rup Me Gine Jaate Hain Jinki Company Karodn Ka Turnover Karti Hai To Apni Safalta Ka Raaj Apne Motivational Videos Ke Madhyam Se Ham Tak Bilkul Muft Me Pahunchate Hain.

Ve Apne Jeevan Me Bitne Baali Har Buri Se Achhi Ghatna Ko Ham Sabhi Ke Saath Share Karte Hain Aur Hame Ek Positive Life Jine Ke Prerna Pradan Karte Hain.

Aaj Ke Yuwaon Ke Liye Ve Ek Prernasrot Hain Aur Inse Sikh Lekar Ko Bhi Apni Jindagi Ko Aasaan Bana Sakta Hai.

Unka Lokpriya Kathan Hai >> Everything Is ” Aasaan Hai 🙂 ” & “Sabse Bada Rog 🙁 Kya Kahenge Log?”

Ve Apni Jindagi Ke Baare Me >>

3 Badi Asafalta Is Prakar Batate Hain

Failure 1. Jab Ve Photography Me Thoda Sa Samay Bita Chuke The To Unke Pass Ek Aadmi Aaya Aur Unke Saath New Year Event Karne Ka Plan Banaya. Sandeep Maheshwari Ne Kaha Ki Saara Kaam To Main Kar Lunga Par Hamare Pass Paisa Nahi Hai, Is Par Us Aadmi Ne Kaha Ki Pure Paise Main Lagaunga, Aap Sirf Kaam Karo.

Lekin Jab Is Event Me 2-3 Din Baaki Rah Gaye The To Us Aadmi Ne Ab Aur Jyada Paise Dene Se Inkaar Kar Diya. Tab Jaakar Kisi Tarah Sandeep Maheshwari Ne Paise Jutakar Us Event Ko Pura Kiya Aur Ye Puri Tarah Safal Raha.

Ab Jab Baat Paise Share Karne Ki Aayi To Vah Aadmi Pure Paise Lekar Chala Gaya Aur Sandeep Maheshwari Ko Kuchh Bhi Nahi Mila. Sandeep Maheshwari Ke Liye Ye Jeevan Ka Bada Dhakka Tha Lekin Sandeep Maheshwari Ne Is Anubhav Se Haar Nahi Maani Aur Ve Khush Ho Gaye. Kyonki Wo Sochte Hain Koi Aadmi Safal Ho Sakta Hai To Sirf Aur Sirf Apne Failure Ki Vajah Se.

Failure 2. Photography Me Kuchh Din Bitane Ke Baad Sandeep Maheshwari Japaan Ki Ek Multi Level Marketing Companay Se Jud Gaye The Aur Wo Is Company Se Achha Khasa Paisa Bhi Kamane Lage. Lekin Unhe Laga Ki Log Is Company Ke Dwara Thage Jaa Rahe Hain To Unhone Is Company Se Alag Ho Kar Ek Apni Multi Level Company Ki Shuruaat Ki.

Aur Usme Khub Man Laga Kar Kaam Kiya. Shuruaat Me Ye Kafi Achhi Chali Aur Sirf 6 Mahine Me Is Company Ko Lagbhag 1100 Logon Ne Join Kar Liya.

Lekin Baad Me Business Partner Me Hui Matbhed Ke Kaaran Ye Company Band Ho Gayi. Ve Isme Kafi Saara Paisa Laga Chuke The, Arthat Apna Sab Kuchh. Aur Ve Ek Baar Phir Se Asafalta Ka Munh Dekhna Pada.

Failure 3. Jab Sandeep Maheshwari Multi Level Company Me Fail Ho Gaye Aur Photography Me Bhi Sangharsh Kar Rahe The To Unhone Socha Ki Marketing Par Ek Book Likha Jaye Aur Phir Kuchh Dino Ke Baad Unhone Ek Book Publish Bhi Karwa Di.

Ve Batate Hain Ki Is Book Ki Khasiyat Ye Thi Ki Ye Aage Se Nahi Pichhe Se Pathi Jaati Thi Jiska Main Kaaran Yah Tha Ki “Jab Koi Aadmi Apne Padhne Ka Najariya Nahi Badal Sakta, To Sochne Ka Khak Badlega“. Aur Is Baat To Ko Sabhi Ne Serious Le Lia Aur Us Kitab Ko Lagbhag Koi Nahi Padha.

Unhone Pure 1000 Kitaab Print Karwayi Thi Jisme Se Sirf 150 Biki Aur Baaki Ke 850 Books Ko Kabaadi Baale Ke Paas Maan Ne Bech Diya.

Sandeep Maheshwari Ki Asim Safalta Ka Kaaran ?

Ve Bataate Hain Ki Main Sirf Aur Sirf Good Luck Ko Maanta Hun Aur Mere Liye Duniya Me Bad Luck Naam Ki Koi Chij Is Duniya Me Nahi Hai.

Ve Kahte Hain Ke Aaj Main Jo Kuchh Bhi Hun Wo Sirf Aur Sirf Apni Asafaltaon Ki Bajah Se Hun. Kyonki Maine Apni Asafalta Se Haar Na Mankar Us Se Sikha Aur Phir Is Se Apne Life Ko Better Banaya Hai.

Hame Kuchh Pal Ke Liye Hamare Failure Hame Dukhi Karte Hain Lekin Sach Ye Hai Ki Hamare Success Ke Liye Ye Kafi Jaruri Hain.

Unke Bare Aur Adhik Aap Niche Ke Teen Sites Se Jaan Sakte Hain >>

About the author

WikiHi

Leave a Comment